ek  ik  mauj  ko  sone  kī  qabā  detī  hai
shaam  sūraj  ko  samundar  meñ  chhupā  detī  hai
ek  chehrā  mujhe  rozāna  sukūñ  detā  hai
ek  tasvīr  mujhe  roz  rulā  detī  hai
aib  shohrat  meñ  nahīñ  is  kā  nasha  qātil  hai
ye  havā  kitne  charāġhoñ  ko  bujhā  detī  hai
log  aate  haiñ  Thaharte  haiñ  guzar  jaate  haiñ
ye  zamīñ  ḳhud  hī  guzargāh  banā  detī  hai
kisī  chehre  meñ  nazar  aatā  hai  koī  chehrā
koī  sūrat  kisī  sūrat  kā  patā  detī  hai
niil  meñ  rāsta  banñā  to  hai  dushvār  magar
merī  ġhairat  mire  hāthoñ  meñ  asā  detī  hai