aah  kab  lab  par  nahīñ  hai  daaġh  kab  dil  meñ  nahīñ
kaun  sī  shab  hai  ki  garmī  apnī  mahfil  meñ  nahīñ
bazm  kī  kasrat  se  andesha  mire  dil  meñ  nahīñ
dil  meñ  us  kī  hai  jagah  mere  jo  mahfil  meñ  nahīñ
panja-e-mizhgān-e-tar  ne  ye  uḌā.īñ  dhajjiyāñ
taar  baaqī  ek  bhī  dāmān-e-sāhil  meñ  nahīñ
ḳhūn-e-nāhaq  kā  hamāre  daaġh  miTne  kā  nahīñ
teġh  meñ  hogā  agar  dāmān-e-qātil  meñ  nahīñ
parda-dār  chehra-e-yūsuf  nahīñ  hai  har  naqāb
husn-e-lailā  jalva-gar  har  ek  mahfil  meñ  nahīñ
najd  kā  sahrā  ajab  sahrā-e-vahshat-ḳhez  hai
qais  kyā  lailā  ko  bhī  ārām  manzil  meñ  nahīñ
jis  taraf  jī  chāhegā  merā  nikal  jā.ūñgā  maiñ
saikaḌoñ  darvāze  haiñ  halqe  salāsil  meñ  nahīñ
had  se  bāhar  paañv  jo  rakhtā  hai  hotā  hai  ḳharāb
ghar  meñ  jo  rāhat  musāfir  ko  hai  manzil  meñ  nahīñ
Dūbte  jaate  haiñ  kyūñkar  log  hairat  hai  mujhe
qadd-e-ādam  aab  bahr-e-teġh-e-qātil  meñ  nahīñ
ho  gayā  dahshat  se  aisā  bismiloñ  kā  ḳhuun  ḳhushk
ek  bhī  dhabbā  lahū  kā  teġh-e-qātil  meñ  nahīñ