baaġh  meñ  phuul  khile  mausam-e-saudā  aayā
garm  bāzār  huā  vaqt-e-tamāsha  aayā
sārbāñ  nāqa-e-lailā  ko  na  dauḌā  itnā
paañv  majnūñ  ke  thake  haath  tire  kyā  aayā
ek  naale  ne  mire  kaam  kiye  baaġh  meñ  vo
gul  ko  tap  aa.ī  to  shabnam  ko  pasīna  aayā
ro  ke  maiñ  ne  jo  kahā  aap  kī  hai  chaah  mujhe
hañs  ke  bole  ki  baḌā  chāhne  vaalā  aayā
jhaaḌ  dī  gard  jo  dāman  kī  kabhī  ham  ne  'asīr'
hañs  ke  farmāyā  ki  tum  ko  bhī  salīqa  aayā