kis  tarah  aa.e  tirī  bazm-e-tarab  meñ  aa.ina
hai  nazar-band  āj-kal  shahr-e-halab  meñ  aa.ina
hind  se  us  tak  jo  le  jaa.e  koī  tasvīr-e-yār
sharm  se  lailā  na  dekhe  phir  arab  meñ  aa.ina
bazm  meñ  bulvā.e  jaldī  ki  ik  muddat  se  hai
ishtiyāq-e-zulf-o-ḳhat-o-chashm-o-lab  meñ  aa.ina
naukrī  bhī  kī  to  hairānī  faqat  ham  ko  milī
aarsī  tanḳhvāh  meñ  paa.ī  talab  meñ  aa.ina
shaiḳh-sāhab  tā-kujā  ārā.ish-e-resh-e-saped
dekhiye  shāna  balā  meñ  hai  ġhazab  meñ  aa.ina
sāqiyā  ye  aa.ina  hai  terā  mai-ḳhāna  nahīñ
hai  har  ik  sāġhar  kaf-e-bintul-anab  meñ  aa.ina
dekhne  jaatā  hai  us  ko  tāb-e-nazzāra  nahīñ
sāda-lauh  us  se  huā  mash.hūr  sab  meñ  aa.ina