kaḌe  haiñ  kos  safar  duur  kā  zarūrī  hai
gharoñ  se  rishtoñ  kā  ab  ḳhātma  zarūrī  hai
parastish  apnī  anā  ke  butoñ  kī  kar  lī  bahut
sukūn-e-dil  ke  liye  ik  ḳhudā  zarūrī  hai
kahīñ  to  thoḌī  sī  gunjā.ish-e-ḳhulūs  mile
diloñ  meñ  chhup  ke  yahāñ  jhāñknā  zarūrī  hai
maiñ  sañg-e-rah  huuñ  to  Thokar  kī  zad  pe  ā.ūñgā
tum  ā.īna  ho  to  phir  TūTnā  zarūrī  hai
na  socho  tark-e-ta.alluq  ke  moḌ  par  ruk  kar
qadam  baḌhāo  ki  ye  hādsa  zarūrī  hai
tamām  safhe  sabhī  goshvāre  jab  tere
hamārā  karb  kitāboñ  meñ  kyā  zarūrī  hai