uTThe  jis  bazm  se  tum  ġham  kā  samāñ  chhoḌ  aa.e
diye  mahfil  se  uThā  laa.e  dhuāñ  chhoḌ  aa.e
ek  TuuTā  huā  be-kār  safīna  ham  haiñ
hameñ  ab  sail-e-balā  chāhe  jahāñ  chhoḌ  aa.e
aaj  sar  phūTegā  ro.egī  na  dīvār  terī
shahr  se  duur  hameñ  ahl-e-jahāñ  chhoḌ  aa.e
hañs  ke  jī-bhar  ke  zamāne  ki  junūñ  haar  gayā
nāsehā  ḳhush  ho  ki  ham  kū-e-butāñ  chhoḌ  aa.e
mere  hāthoñ  kī  lakīreñ  thiiñ  vo  rāheñ  ai  dost
mere  hāthoñ  ko  tire  haath  jahāñ  chhoḌ  aa.e
na  chalā  ba.ad  hamāre  koī  rāh-e-ġham  meñ
jise  har-gām  pe  ik  sañg-e-girāñ  chhoḌ  aa.e
din  bahāroñ  ke  palaT  aa.e  'musavvir'  lekin
jaane  us  jān-e-bahārāñ  ko  kahāñ  chhoḌ  aa.e