yaksāñ  hai  dhuāñ  jalte  ḳharābe  kī  mahak  tak
sannāTe  kā  ghar  se  diyā  sunsān  saḌak  tak
pahle  hī  kahā  thā  mire  dāman  se  pare  rah
aa  hī  gayā  tū  bhī  unhīñ  sho.aloñ  kī  lapak  tak
ab  maiñ  huuñ  faqat  aur  koī  hāñptā  sahrā
aa.ī  thī  mire  saath  un  ashkoñ  kī  kumak  tak
do  kashtiyāñ  kāġhaz  kī  bahā  leñ  chalo  ham  tum
phir  to  hameñ  milnā  nahīñ  ḳhvāboñ  kī  palak  tak
itnī  to  sazā  saḳht  na  aatī  huī  rut  de
ruḳhsat  ho  jo  biite  hue  mausam  kī  kasak  tak
dīvār  hī  niklī  pas-e-dīvār  fusūñ  rañg
kohrā  hī  bikhartā  milā  chehroñ  kī  dhanak  tak
indar  se  sulagte  ho  musavvir  jo  khañDar  se
kho  aa.e  ho  jā  kar  kahāñ  āñkhoñ  kī  chamak  tak