pahchān  kā  asāsa  vo  jab  haar  aa.egā
chehre  na.e  ḳharīdne  bāzār  aa.egā
rañgoñ  ke  qāfile  nahīñ  ab  mere  ham-safar
hamrāh  ek  barg-e-azzā-dār  aa.egā
nāmūs-e-sub.h-e-karbalā  apnī  ridā  sambhāl
chal  kar  abhī  to  shaam  kā  darbār  aa.egā
dīvār  o  dar  meñ  der  se  sargoshiyāñ  sī  haiñ
fāteh  qabīloñ  kā  koī  sardār  aa.egā
maftūh  bastiyoñ  pe  hai  yalġhār  kī  ghaḌī
galiyoñ  meñ  ek  lashkar-e-jarrār  aa.egā
maiñ  sañg-e-rah  nahīñ  jo  uThā  kar  tū  pheñk  de
maiñ  aisā  marhala  huuñ  jo  sau  baar  aa.egā
bachche  javān  ho  ga.e  nā-tāqatī  ke  saath
kab  bāzuoñ  meñ  zor-e-alamdār  aa.egā