dībācha-e-kitāb  farishte  se  kho  gayā
mazmūn-e-āñ-janāb  farishte  se  kho  gayā
tahrīr  jo  kiyā  thā  hamāre  savāl  par
yazdāñ  kā  vo  javāb  farishte  se  kho  gayā
ham  ko  payambarī  kī  bashārat  nahīñ  milī
ilhām  kā  vo  ḳhvāb  farishte  se  kho  gayā
sarzad  huī  thiiñ  nashshe  meñ  ham  se  bhī  nekiyāñ
vo  daftar-e-hisāb  farishte  se  kho  gayā
kausar  se  bhar  ke  saaqī  ne  bhejā  thā  ham  ko  jo
mashkīza-e-sharāb  farishte  se  kho  gayā
āshiq  ne  koh-e-tūr  pe  khoyā  hai  hosh  yuuñ
mahbūb  kā  naqāb  farishte  se  kho  gayā
injīl-e-pāk  meñ  to  hamārā  bhī  zikr  thā
āyāt  kā  vo  baab  farishte  se  kho  gayā