ham  kar  chuke  jab  nuur  se  ta.amīr  ḳhudā  kī
phir  chāroñ  taraf  ḳhuub  kī  tash.hīr  ḳhudā  kī
duniyā  huī  ābād  magar  vo  rahā  tanhā
majbūr  hai  kyā  kījiye  taqdīr  ḳhudā  kī
dekhe  na  sune  baat  jo  ushshāq  kī  apne
is  but  meñ  nazar  aatī  hai  tasvīr  ḳhudā  kī
mullā  ne  rivāyāt-o-hikāyāt  baḌhā.īñ
tafsīr  meñ  gum  ho  ga.ī  tahrīr  ḳhudā  kī
yak-jān  hue  ādam-o-iblīs  ke  aage
aksar  nahīñ  chaltī  koī  tadbīr  ḳhudā  kī