Ayaz Rasool Nazki

yahan to shahr se diwar-o-dar hi ghaeb hain

Ayaz Rasool Nazki

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1950

yahāñ to shahr se dīvār-o-dar ġhā.eb haiñ

chhatoñ ke ba.ad makānoñ ko le uḌī hai havā

tamām shahr thā saḌkoñ pe aaj raat ga.e

sunā hai phir se javānoñ ko le uḌī hai havā

safar hai raat sahrā se vāpsī kaisī

tumhāre saare nishānoñ ko le uḌī hai havā

chalegī vaqt āñdhī to kis ko baḳhshegī

na jaane kitne zamānoñ ko le uḌī hai havā

rahā na ab vo lab-e-jū rahā na mai-ḳhāna

hamāre saare Thikānoñ ko le uḌī hai havā

chalo vo vasl va.ada bhī kal-adam Thahrā

tumhāre saare bahānoñ ko le uḌī hai havā

havā ke dosh pe uḌte to haiñ parinde par

nazar ke sāmne dānoñ ko le uḌī hai havā

paḌe haiñ tiir yahāñ ġhāziyoñ ke tarkash meñ

añdherī shab meñ kamānoñ ko le uḌī hai havā

ġhalat the saare vo mīzāñ fareb taḳhmīne

hamāre saare gumānoñ ko le uḌī hai havā

rakhe the kis ne vo aurāq tāqche pe 'ayāz'

vo chāhatoñ ke fasānoñ ko le uḌī hai havā

Top Urdushayar.com