Sarfraz Danish

safina mauj-e-bala ke liye ishaara tha

Sarfraz Danish

safīna mauj-e-balā ke liye ishāra thā
na phir havā thī muāfiq na phir kinārā thā
ham apne jalte hue ghar ko kaise ro lete
hamāre chāroñ taraf ek hī nazārā thā
ye vāqi.a jo suneñge to log hañs deñge
hameñ hamārī hī parchhā.iyoñ ne maarā thā
tilism toḌ diyā ik sharīr bachche ne
mirā vajūd udāsī kā isti.ārā thā
ye hausla to guloñ kā thā hañs paḌe lekin
unheñ kisī kā tabassum bhī kab gavārā thā
ġhurūr-e-aql meñ īmān bhī gañvā baiThe
ye ik jazīra to sab ke liye kinārā thā
use bhī aaj kiyā maiñ ne āñdhiyoñ ke supurd
bahut dinoñ se mire paas ik sharāra thā
ham us ko kaise sunāte kahāniyāñ 'dānish'
kitāb-e-dil kā har ik safha paara paara thā
Top Urdushayar.com