Khushbir Singh Shaad

bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954

bujhā ke mujh meñ mujhe be-karāñ banātā hai

vo ik amal jo sharar ko dhuāñ banātā hai

na jaane kitnī aziyyat se ḳhud guzartā hai

ye zaḳhm tab kahīñ kar nishāñ banātā hai

maiñ vo shajar bhī kahāñ jo ulajh ke sūraj se

musāfiroñ ke liye sā.ebāñ banātā hai

āsmāñ se koī bādaloñ chhat le aa

barhana shāḳh pe kyā āshiyāñ banātā hai

ajab nasīb sadaf ki us ke siine meñ

guhar na honā use rā.egāñ banātā hai

faqat maiñ rañg bharne kaam kartā huuñ

ye naqsh to koī dard-e-nihāñ banātā hai

na soch 'shād' shikasta-paroñ ke baare meñ

yahī ḳhayāl-safar ko girāñ banātā hai

Top Urdushayar.com