ġhāliban  mere  alāva  koī  guzrā  bhī  nahīñ
terī  manzil  meñ  kahīñ  naqsh-e-kaf-e-pā  bhī  nahīñ
aap  kī  raah  meñ  duniyā  nazar  aatī  hai  mujhe
ik  qadam  aur  jo  baḌh  jā.ūñ  to  duniyā  bhī  nahīñ
aap  kyā  soch  ke  ġham  apnā  atā  karte  haiñ
himmat-e-dil  to  ba-qadr-e-ġham-e-duniyā  bhī  nahīñ
tum  to  be-misl  ho  tauhīd-e-mohabbat  kī  qasam
tum  sā  kyā  hogā  jahāñ  meñ  koī  mujh  sā  bhī  nahīñ
hashr  kī  bhiiḌ  meñ  ek  ek  kā  muñh  taktā  huuñ
is  bharī-bazm  meñ  ik  jānñe  vaalā  bhī  nahīñ
husn  ne  da.avat-e-nazzāra  har  ik  rañg  se  dī
ishq  ne  aañkh  uThā  kar  kabhī  dekhā  bhī  nahīñ
ek  tum  ho  ki  tamannāoñ  ke  dushman  hī  rahe
ek  maiñ  huuñ  mujhe  ehsās-e-tamannā  bhī  nahīñ
juzv-e-dil  ban  ke  samātī  hai  mohabbat  dil  meñ
ye  vo  kāñTā  hai  ki  hai  aur  khaTaktā  bhī  nahīñ
yaad  aatī  hai  'sabā'  be-vatnoñ  kī  kis  ko
mujh  ko  yārān-e-vatan  se  koī  shikva  bhī  nahīñ