us  kā  va.ada  tā-qayāmat  kam  se  kam
aur  yahāñ  marne  kī  fursat  kam  se  kam
sah  sake  dard-e-mohabbat  kam  se  kam
dil  meñ  itnī  to  ho  tāqat  kam  se  kam
is  kī  yādoñ  se  kahāñ  hai  dushmanī
sham.a  jaltī  shām-e-furqat  kam  se  kam
us  ke  milne  se  na  hotī  raushnī
ghaT  to  jaatī  ġham  kī  zulmat  kam  se  kam
dekhne  se  un  ke  ye  hāsil  huā
ho  ga.ī  apnī  ziyārat  kam  se  kam
us  ke  ḳhat  meñ  aur  sab  kuchh  thā  magar
sirf  matlab  kī  ibārat  kam  se  kam
dard  dene  ke  vahāñ  sāmāñ  bahut
aur  taḌapne  kī  ijāzat  kam  se  kam
kyuuñ  ġham-e-daurāñ  ziyāda  mil  gayā
thī  hameñ  jis  kī  zarūrat  kam  se  kam
ḳhair  tum  se  dostī  mushkil  sahī
rahne  do  sāhib-salāmat  kam  se  kam
dekh  kar  un  ko  ye  andāza  huā
hogī  aisī  hī  qayāmat  kam  se  kam
daulat-e-ġham  kī  farāvānī  sahī
dāman-e-dil  meñ  hai  vus.at  kam  se  kam
ġham  nahīñ  jo  chand  yādeñ  saath  thiiñ
kar  to  lī  dil  kī  hifāzat  kam  se  kam
sīna-chākī  umr  bhar  kī  hai  'sabā'
zaḳhm  silne  kī  thī  muddat  kam  se  kam