yagāna  ban  ke  ho  jaa.e  vo  begāna  to  kyā  hogā
jo  pahchānā  to  kyā  hogā  na  pahchānā  to  kyā  hogā
kisī  ko  kyā  ḳhabar  aañsū  haiñ  kyuuñ  chashm-e-mohabbat  meñ
fuġhāñ  se  guuñj  uTThegā  jo  vīrāna  to  kyā  hogā
hamārī  sī  mohabbat  tum  ko  ham  se  ho  to  kyā  guzre
banā  de  sham.a  ko  bhī  ishq  parvāna  to  kyā  hogā
yahī  hogā  ki  duniyā  aql  kā  anjām  dekhegī
had-e-vahshat  se  baḌh  jā.egā  dīvāna  to  kyā  hogā
ta.assub  darmiyāñ  se  aap  ko  vāpas  na  le  aa.e
haram  kī  raah  meñ  niklā  sanam-ḳhāna  to  kyā  hogā
tasavvur  kījiye  us  aane  vaale  daur-e-barham  kā
gadā  toḌeñge  jab  pindār-e-shāhāna  to  kyā  hogā
miTā  do  hasrat-e-ābādī-e-dil  bhī  mire  dil  se
ye  jitnā  ab  hai  is  se  aur  vīrāna  to  kyā  hogā
na  tum  aaoge  na  āvāz  apnī  lauT  pā.egī
pukāregā  tumheñ  sahrā  meñ  dīvāna  to  kyā  hogā
fareb-e-zindagī  kī  dāstāñ  kahne  ko  kyā  kam  hai
qayāmat  meñ  zabāñ  par  aur  afsāna  to  kyā  hogā
lahū  ke  daaġh  baḌh  jā.eñge  kuchh  dīvār-e-zindāñ  par
ḳhafā  ho  jā.egā  zindāñ  se  dīvāna  to  kyā  hogā
mudāvā  ho  nahīñ  saktā  hai  dil  par  choT  khāne  kā
mire  qadmoñ  pe  rakh  do  tāj-e-shāhāna  to  kyā  hogā
'sabā'  jo  zindagī  bhīgī  huī  hai  bārish-e-gul  se
bulā.egā  kisī  din  us  ko  vīrāna  to  kyā  hogā