ashk-bārī  nahīñ  furqat  meñ  sharar-bārī  hai
aañkh  meñ  ḳhuun  kā  qatra  hai  ki  chiñgārī  hai
har  nafas  ziist  guzar  jaane  kā  ġham  taarī  hai
maut  kā  ḳhauf  bhī  ik  ruuh  kī  bīmārī  hai
bāvajūde-ki  mohabbat  koī  zanjīr  nahīñ
phir  bhī  dil  ko  mire  ehsās-e-giraftārī  hai
kuchh  is  andāz  se  us  ne  ġham-e-furqat  baḳhshā
jaise  ye  bhī  koī  in.ām-e-vafādārī  hai
ġham-e-ḳhāmosh  ko  be-vaj.h  tasallī  denā
dil-navāzī  kī  ye  sūrat  bhī  dil-āzārī  hai
roz  hālāt  badalte  haiñ  ba-shart-e-taufīq
ziist  majmūa-e-āsānī  o  dushvārī  hai
jāgnā  ishq  meñ  har  ek  kī  taqdīr  nahīñ
niiñd  qurbān  ho  jis  par  ye  vo  bedārī  hai
kī  mire  haath  se  yuuñ  nazr-e-bahār  us  ne  qubūl
jaise  ye  phuul  nahīñ  hai  koī  chiñgārī  hai
ik  taġhāful  se  huā  ishq  kā  dil  ko  ehsās
us  kī  ġhaflat  kā  natīja  mirī  hushyārī  hai
yuuñ  bhī  ārā.ish-e-paiham  meñ  ulajhtā  hai  koī
ye  ḳhud-ārā.ī  hai  dekho  ki  ḳhud-āzārī  hai
mātam-e-ishq  se  fursat  nahīñ  miltī  hai  'sabā'
roz-o-shab  apnī  umīdoñ  ko  azā-dārī  hai