Saba Akbarabadi

hai jo darwesh wo sultan hai ye malum hua

Saba Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1908-1991
hai jo darvesh vo sultāñ hai ye ma.alūm huā
boriyā taḳht-e-sulaimāñ hai ye ma.alūm huā
dil-e-āgāh pashemāñ hai ye ma.alūm huā
ilm ḳhud jahl kā irfāñ hai ye ma.alūm huā
apne hī vāhime ke sab haiñ utaar aur chaḌhāv
na samundar hai na tūfāñ hai ye ma.alūm huā
DhūñDne nikle the jam.īyat-e-ḳhātir lekin
shahr kā shahr pareshāñ hai ye ma.alūm huā
ham ne ābādī-e-ālam pe nazar jab Daalī
dil kī duniyā abhī vīrāñ hai ye ma.alūm huā
inqalāb aap hī duniyā meñ nahīñ aate haiñ
vo nazar silsila jumbāñ hai ye ma.alūm huā
bādshāhī bhī nazar aatī hai muhtāj-e-ḳhirāj
taaj kashkol-e-gadā yaañ hai ye ma.alūm huā
un ke qadmoñ pe jo gir jaa.e vahī qatra-e-ashk
hāsil-e-dīda-e-giryāñ hai ye ma.alūm huā
un kī nazroñ pe jo chaḌh jaa.e vahī zarra-e-ḳhāk
surma-e-chashm-e-ġhazālāñ hai ye ma.alūm huā
un ke dar tak jo pahuñch jaa.e vahī ābla-pā
rahbar-e-qāfilā-e-jāñ hai ye ma.alūm huā
ābiyārī jo kare ḳhūn-e-rag-e-jāñ to 'sabā'
dil-e-har-zarra gulistāñ hai ye ma.alūm huā
Top Urdushayar.com