tum  ne  rasm-e-jafā  uThā  dī  hai
hameñ  kis  jurm  kī  sazā  dī  hai
sham-e-ummīd  kyuuñ  jalā  dī  hai
ishq  tārīkiyoñ  kā  aadī  hai
aap  ne  ḳhud  mujhe  sadā  dī  hai
yā  mirī  quvvat-e-irādī  hai
ham  to  muddat  ke  mar  ga.e  hote
maut  ne  zindagī  baḌhā  dī  hai
ab  duā  par  bhī  e'timād  nahīñ
nā-murādī  sī  nā-murādī  hai
tujh  sā  bedād-gar  kahāñ  hogā
lab-e-har-zaḳhm  ne  duā  dī  hai
muḳhtalif  haiñ  tasavvurāt-e-jamāl
ye  aqīda  bhī  infirādī  hai
dekh  fitrat  kī  bazm-ārā.ī
ḳhaak  par  chāñdnī  bichhā  dī  hai
ye  jo  chhoTī  sī  hai  kalī  sar-e-shāḳh
baaġh  kī  baad  shāhzādī  hai
lab-e-tasvīr-e-dost  kuchh  to  batā
kis  ne  ye  ḳhāmushī  sikhā  dī  hai
ai  'sabā'  kīmiya-e-ġham  ke  liye
zindagī  ḳhaak  meñ  milā  dī  hai