jo  hamāre  safar  kā  qissa  hai
vo  tirī  rahguzar  kā  qissa  hai
sub.h  tak  ḳhatm  ho  hī  jā.egā
zindagī  raat  bhar  kā  qissa  hai
dil  kī  bāteñ  zabāñ  pe  kyuuñ  laao
ghar  meñ  rahne  do  ghar  kā  qissa  hai
koī  talvār  kyā  batā.egī
dosh  kā  aur  sar  kā  qissa  hai
hosh  aa  jaa.e  to  sunā.ūñgā
chashm-e-dīvāna-gar  kā  qissa  hai
chalte  rahnā  to  koī  baat  na  thī
sirf  samt-e-safar  kā  qissa  hai
jīte-jī  ḳhatm  ho  nahīñ  saktā
zindagī  umr  bhar  kā  qissa  hai
shaam  ko  ham  sunā.eñge  tum  ko
shab-e-ġham  kī  sahar  kā  qissa  hai
tere  naqsh-e-qadam  kī  baat  nahīñ
sirf  shams  o  qamar  kā  qissa  hai
dāman-e-ḳhushk  laao  phir  sunñā
ye  mirī  chashm-e-tar  kā  qissa  hai
chand  tinke  na  the  nasheman  ke
bāġh-o-shāḳh-o-shajar  kā  qissa  hai
halq  meñ  chubh  rahe  haiñ  kāñTe  se
lab  pe  gul-hā-e-tar  kā  qissa  hai
merī  barbādiyoñ  kā  haal  na  pūchh
ek  nīchī  nazar  kā  qissa  hai
usī  bedād-gar  se  kah  de  'sabā'
usī  bedād-gar  kā  qissa  hai