Afroz Alam

baDa KHushnuma ye maqam hai nai zindagi ki talash kar

Afroz Alam

Gopal Ganj, Bihar, India

1975
baḌā ḳhushnumā ye maqām hai na.ī zindagī kī talāsh kar
tū na apne zehn kī baat kar na.ī dostī kī talāsh kar
tire āsmān kā sar kabhī kisī aur zamīn pe jhuk gayā
ye huā to aisā huā hī kyuuñ kabhī us kamī kī talāsh kar
kabhī ḳhvāhishoñ ke hujūm meñ jo phisal ga.e haiñ mire qadam
jise pī ke dahr sambhal gayā usī mai-kashī kī talāsh kar
jo bahār ko bhī aziiz thī vahī shaam lutf-o-surūr kī
jise siskiyoñ kī nazar lagī usī zindagī kī talāsh kar
jahāñ aadmī kī baqā rahe jahāñ fikr-o-fan ko jilā mile
jahāñ dard-e-nau kā pata mile vahāñ āgahī kī talāsh kar
na udaas shaam ke falsafe na bahār-e-sub.h kī raunaqeñ
na asl ziist ke zer-o-bam na to naġhmagī kī talāsh kar
jo bhī guftugū kā usuul hai usī baat kā tū ḳhayāl rakh
na.ī kā.enāt kī justujū na.ī raushnī kī talāsh kar
Top Urdushayar.com