Khursheed Akbar

kaun kis ke sath rahta hai makan hote hue bhi

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
kaun kis ke saath rahtā hai makāñ hote hue bhī
kaun chaltā hai zamīñ par āsmāñ hote hue bhī
kaun jaane ḳhair kā pahlū kahīñ raushan ho shāyad
ham tumhāre shahr meñ haiñ be-amāñ hote hue bhī
tez bārish meñ bhī kitne pyaas ke maare paḌe haiñ
dhuup meñ jalte haiñ kitne sā.ebāñ hote hue bhī
is añdherī raat meñ vo chāñd niklegā yahāñ se
ik darīcha ain-mumkin hai gumāñ hote hue bhī
nau-shagufta ik shajar kā qad nikalnā hai qayāmat
aur us kā be-ḳhabar honā javāñ hote hue bhī
koī titlī gul kā chehra chūmtī rahtī hai akasr
phailtī rahtī hai ḳhushbū rā.egāñ hote hue bhī
is ghane jañgal kā jalnā apnī sarhad se nikalnā
bastiyoñ ko yaad hai sab kuchh dhuāñ hote hue bhī
māhī-e-be-āb sā betāb hai saarā zamāna
aur maiñ shādāb huuñ ātash-bajāñ hote hue bhī
zindagī maiñ ne tumheñ har haal meñ ābād rakkhā
rote hañste jiite marte be-nishāñ hote hue bhī
rāh-e-sheristāñ se guzrā hai koī ḳhurshīd-'akbar'
'mīr' o 'ġhālib' kā ilāqa darmiyāñ hote hue bhī
Top Urdushayar.com