Khursheed Akbar

badan ki rakh se raushan sharara kar ke dekhunga

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
badan kī raakh se raushan sharāra kar ke dekhūñgā
maiñ apnī jaan ko ab ke sitāra kar ke dekhūñgā
vo tanhā justujū bechain sī rahtī hai āñkhoñ meñ
qayāmat aa bhī jaa.e to gavāra kar ke dekhūñgā
qazā aksar mire kūche se be-parda guzartī hai
use bhī khelte hañste ishāra kar ke dekhūñgā
ye sochā hai lab-e-larzāñ pe rakh kar tishnagī saarī
tujhe bhī ai samundar isti.āra kar ke dekhūñgā
na chhat hogī na dar hogā na sahn-e-yār kā gosha
maiñ shahr-e-āfiyat meñ yuuñ guzāra kar ke dekhūñgā
badan kashtī bhañvar ḳhvāhish irāda bādbāñ jaisā
junūñ-dariyā chalo ḳhud ko kināra kar ke dekhūñgā
safar meñ ḳhair-o-shar ke ba.ad vo manzil bhī aa.egī
jahāñ 'ḳhurshīd' apnā goshvāra kar ke dekhūñgā
Top Urdushayar.com