ye  duniyā  hai  yahāñ  aslī  kahānī  pusht  par  rakhnā
laboñ  par  pyaas  rakhnā  aur  paanī  pusht  par  rakhnā
tamannāoñ  ke  andhe  shahr  meñ  jab  māñgne  niklo
to  chādar  sabr  kī  sadiyoñ  purānī  pusht  par  rakhnā
maiñ  ik  mazdūr  huuñ  roTī  kī  ḳhātir  bojh  uThātā  huuñ
mirī  qismat  hai  bār-e-hukmarānī  pusht  par  rakhnā
tujhe  bhī  is  kahānī  meñ  kahīñ  khonā  hai  shahzāde
ḳhudā  hāfiz  ye  mohr-e-ḳhāndānī  pusht  par  rakhnā
hamesha  vaqt  kā  dariyā  ise  raftār  baḳhshegā
jise  aatā  ho  dariyā  kī  ravānī  pusht  par  rakhnā