ilāhī  kyā  kabhī  puure  ye  armāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
mire  kāshāna-e-dil  meñ  vo  mehmāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
koī  sayyād  se  pūchhe  ki  o  nā-vāqif-e-ulfat
ye  dīvāne  kahīñ  pāband-e-zindāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
batā  ai  ḳhizr  rāh-e-ishq  meñ  manzil  hai  aisī  bhī
kahīñ  ham  vāqif-e-asrār-e-jānāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
zabān-e-shauq  par  chhā  jā.egā  māyūsī-e-paiham
lab-e-ḳhāmosh  rūdād-e-dil-o-jāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
ba-pās-e-ehtirām-e-ishq  ham  ḳhāmosh  haiñ  varna
pareshāñ  kar  bhī  sakte  haiñ  pareshāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
kabhī  ai  dīda-e-ḳhūñ-bāz  tū  ne  ye  bhī  sochā  hai
ye  tohfe  bāryāb-e-bazm-e-jānāñ  ho  bhī  sakte  haiñ
nizām-e-zindagī  'abrār'  kab  tak  darham-o-barham
kahīñ  yakjā  ye  aurāq-e-pareshāñ  ho  bhī  sakte  haiñ