na  pūchho  jaan  par  kyā  kuchh  guzartī  hai  ġham-e-dil  se
qarār  aanā  kahāñ  kā  saañs  bhī  aatī  hai  mushkil  se
ba-har-sūrat  safīna  Duub  jaatā  hai  mohabbat  kā
kabhī  Takrā  ke  tūfāñ  se  kabhī  Takrā  ke  sāhil  se
ise  kahte  haiñ  mahrūmī  use  kahte  haiñ  nākāmī
sar-e-manzil  pahuñch  kar  bhī  huuñ  ab  tak  duur  manzil  se
dil-e-betāb  paatā  hai  sukūñ  kab  josh-e-ulfat  meñ
ye  dariyā  maujzan  ho  ho  ke  Takrātā  hai  sāhil  se
yahāñ  tak  rafta  rafta  baḌh  gayā  ehsās-e-mahrūmī
unheñ  dekhā  magar  tishna-nazar  uTThā  huuñ  mahfil  se