Jamal Panipati

wo lahu roi hain aankhen ki batana mushkil

Jamal Panipati

Panipat, Haryana, India

1927-2005
vo lahū roī haiñ āñkheñ ki batānā mushkil
ab koī ḳhvāb in āñkhoñ meñ sajānā mushkil
kitnī yādeñ thiiñ ki gard-e-rah-e-ayyām huiiñ
kitne chehroñ kā huā dhyān meñ laanā mushkil
kitne shab-ḳhūñ the ujāloñ pe jo maare na ga.e
kitnī sham.eñ thiiñ huā jin kā jalānā mushkil
kitne darvāze diloñ ke the jo dīvār bane
aisī dīvār ki dar jis meñ banānā mushkil
rañg jitne the bahāroñ meñ bahāroñ se ga.e
is chaman-zār meñ ab jī kā lagānā mushkil
vo bhī ai shahr-e-nigārāñ thā koī mausam ḳhvāb
biit jaane pe bhī hai jis ko bhulānā mushkil
raqs karte hue kāñToñ pe chale ham varna
har-qadam raah meñ thā phuul khilānā mushkil
yūñhī chaḌhtā rahā gar dard kā dariyā to 'jamāl'
kashtī-e-jāñ ko kināre se lagānā mushkil
Top Urdushayar.com