Zeeshan Sahil

kisi ki den hai lekin meri zarurat hai

Zeeshan Sahil

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1961-2008

kisī den hai lekin mirī zarūrat hai

junūñ kamāl nahīñ hai kamāl-e-vahshat hai

maiñ zindagī ke sabhī ġham bhulā.e baiThā huuñ

tumhāre ishq se kitnī mujhe sahūlat hai

guzar ga.ī hai magar roz yaad aatī hai

vo ek shaam jise bhūlne hasrat hai

zamāne vaale to shāyad nahīñ kisī qābil

jo miltā rahtā huuñ un se mirī muravvat hai

havā bahār aa.egī aur maiñ chūmūñgā

vo saare phuul ki jin meñ tirī shabāhat hai

ḳhudā rakhe tirī āñkhoñ dil-navāzī ko

tirī nigāh mirī umr bhar daulat hai

tire baġhair bujhā rahā huuñ andar se

jo Thīk-Thāk huuñ bāhar se to ye aadat hai

jo ho sake to mujhe apne paas rakh lenā

tirā visāl to ik sānvī sa.ādat hai

tire baġhair koī kaise zinda rahtā hai

magar maiñ huuñ ki yahī ishq rivāyat hai

Top Urdushayar.com