milte  julte  haiñ  yahāñ  log  zarūrat  ke  liye
ham  tire  shahr  meñ  aa.e  haiñ  mohabbat  ke  liye
vo  bhī  āḳhir  tirī  tārīf  meñ  hī  ḳharch  huā
maiñ  ne  jo  vaqt  nikālā  thā  shikāyat  ke  liye
maiñ  sitāra  huuñ  magar  tez  nahīñ  chamkūñgā
dekhne  vaale  kī  āñkhoñ  kī  suhūlat  ke  liye
sar  jhukā.e  hue  ḳhāmosh  jo  tum  baiThe  ho
itnā  kaafī  hai  mire  dost  nadāmat  ke  liye
vo  bhī  din  aa.e  ki  dahlīz  pe  aa  kar  'az.har'
paañv  rukte  haiñ  mire  terī  ijāzat  ke  liye