na  jaane  shaam  ne  kyā  kah  diyā  savere  se
ujāle  haath  milāne  lage  añdhere  se
shajar  ke  hisse  meñ  bas  rah  ga.ī  hai  tanhā.ī
har  ik  parinda  ravāna  huā  basere  se
jo  us  kī  biin  kī  dhun  par  huā  hai  raqs-andāz
Thanī  rahī  hai  usī  saañp  kī  sapere  se
abhī  ye  raushnī  chubhtī  huī  hai  āñkhoñ  meñ
abhī  ham  uTh  ke  chale  aa.e  haiñ  añdhere  se
tumhārā  shahr-e-nigārāñ  to  ḳhuub  hai  'az.har'
bachā  ke  laa.e  haiñ  dil  aarzū  ke  ghere  se