paḌhiye  sabaq  yahī  hai  vafā  kī  kitāb  kā
kāñTe  karā  rahe  haiñ  ta.āruf  gulāb  kā
kaisā  ye  intishār  diyoñ  kī  safoñ  meñ  hai
kuchh  to  asar  huā  hai  havā  ke  ḳhitāb  kā
ye  tai  kiyā  jo  maiñ  ne  junūñ  tak  maiñ  jā.ūñgā
ye  marhala  aham  hai  mire  iztirāb  kā
maanā  bahut  hasīn  thā  vo  umr  kā  paḌāv
qissa  magar  na  chheḌiye  ahd-e-shabāb  kā
'az.har'  kahīñ  se  niiñd  kā  ab  kiije  intizām
yūñhī  nikal  na  jaa.e  ye  mausam  bhī  ḳhvāb  kā