dard-e-dil  ro.eñ  kis  ummīd  pe  begāne  se
sub.h  hone  kī  nahīñ  yaas  is  afsāne  se
koī  itnā  bhī  nahīñ  aap  se  ġhībat  hī  kare
kāñTe  paḌte  haiñ  zabāñ  meñ  mire  afsāne  se
dast-e-gustāḳh  se  mumkin  nahīñ  ārā.ish-e-husn
gesū-e-yār  sañvarne  ke  nahīñ  shāne  se
dāman-e-bād-e-bahārī  hai  garebāñ  pe  nisār
aatī  hai  bū-e-mohabbat  tire  dīvāne  se
phir  vahī  kūcha  vahī  dar  vahī  saudā  vahī  sar
khīñch  laayā  hai  ye  dil  phir  mujhe  vīrāne  se
aaj  hī  chhūTe  jo  kal  chhuTtā  ho  ye  dair-e-ḳharāb
vahshat-ābād-e-jahāñ  kam  nahīñ  vīrāne  se
havas-e-ālam-e-bālā  ne  kiyā  hai  dil  tañg
ruuh  ghabrā  ga.ī  ab  jism  ke  kāshāne  se
apnī  parchhā.īñ  se  dīvānoñ  ko  nafrat  hī  rahī
jīte-jī  nikle  na  zindāñ  ke  siyah-ḳhāne  se
husn-e-ma.anī  ke  jo  shaidā  haiñ  udhar  kyā  dekheñ
sūrat-e-ābād  jahāñ  kam  nahīñ  vīrāne  se
jān-e-man  ma.arifat  us  husn  kī  āsān  nahīñ
daad  kyā  chāhte  ho  tum  kisī  begāne  se
kaifiyyat  se  kabhī  ḳhālī  nahīñ  dil  mastoñ  kā
hū-ba-hū  miltā  hai  saaqī  tire  paimāne  se
sāqiyā  dil  kī  havas  miT  na  sakī  piirī  meñ
pyaas  bujhtī  nahīñ  TuuTe  hue  paimāne  se
aag  meñ  kuud  paḌā  dil  kī  lagī  vo  shai  hai
ātish-e-shauq  ko  pūchhe  koī  parvāne  se
aur  parde  kī  mulāqāt  karegī  andher
sham.a  kyuuñ  chhuptī  hai  fānūs  meñ  parvāne  se
nāsehā  hai  koī  aisā  ki  sambhāle  mujh  ko
laḌ  ga.ī  aañkh  mirī  phir  kisī  mastāne  se
duur  se  dekhne  ke  'yās'  gunahgār  haiñ  bas
āshnā  tak  na  hue  lab  kabhī  paimāne  se
jaam  labrez  huā  hai  kisī  mahjūr  kā  aaj
bū-e-ḳhūñ  aatī  hai  saaqī  tire  paimāne  se
pahle  sargoshiyāñ  thiiñ  chhā  gayā  ab  sannāTā
bazm  meñ  sub.h  huī  'yās'  ke  afsāne  se
masnad-e-ātish-e-maġhfūr  mubārak  ho  'yās'
aa.e  sannāTe  meñ  'ġhālib'  tire  afsāne  se