Yagana Changezi

KHizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
ḳhizāñ ke jaur se vāqif koī bahār na ho
kisī kā pairahan-e-husn tār-tār na ho
ba-rañg-e-sabza-e-begāna rauñd Daale falak
mujhe bahār bhī aa.e to sāz-gār na ho
ḳhizāñ ke aate hī gulchīñ ne pher liiñ āñkheñ
kisī se koī vafā kā umīd-vār na ho
Thahar Thahar dil-e-vahshī bahār aane de
abhī se bahr-e-ḳhudā itnā be-qarār na ho
Tapak ke āñkhoñ se aa.e lahū jo dāman tak
to is bahār se behtar koī bahār na ho
hayā kī baat hai ab tak qafas meñ zinda huuñ
chaman meñ jā.ūñ to nargis se aañkh chaar na ho
bahār aa.ī hai ghuT ghuT ke jaan de bulbul
qafas meñ nik.hat-e-gul kī umīd-vār na ho
ishāra-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis
ilāhī raaz kisī kā bhī āshkār na ho
bichhā hai dām-e-tamannā asiir ho bulbul
qafas kī yaad meñ is tarah be-qarār na ho
asīr-e-dām na honā zarā sambhal ai dil
ḳhayāl-e-gesū-e-pur-ḳham gale kā baar na ho
jo dekh le mujhe saaqī nashīlī āñkhoñ se
ye mast phir kabhī sharminda-e-ḳhumār na ho
abas hai zikr-e-sharāb-e-tahūr aur vaa.iz
vo baat kar jo kisī dil ko nāgavār na ho
visāl jab nahīñ mumkin to dil pe jabr achchhā
vo kyā kare jise dil hī par iḳhtiyār na ho
vo tiir kyā jo kisī ko na kar sake bismil
nigāh-e-nāz vo kyā hai jo dil ke paar na ho
mizāj-e-yār mukaddar na hone paa.e 'yās'
buland dāman-e-zīñ kahīñ se ġhubār na ho
Top Urdushayar.com