ḳhizāñ  ke  jaur  se  vāqif  koī  bahār  na  ho
kisī  kā  pairahan-e-husn  tār-tār  na  ho
ba-rañg-e-sabza-e-begāna  rauñd  Daale  falak
mujhe  bahār  bhī  aa.e  to  sāz-gār  na  ho
ḳhizāñ  ke  aate  hī  gulchīñ  ne  pher  liiñ  āñkheñ
kisī  se  koī  vafā  kā  umīd-vār  na  ho
Thahar  Thahar  dil-e-vahshī  bahār  aane  de
abhī  se  bahr-e-ḳhudā  itnā  be-qarār  na  ho
Tapak  ke  āñkhoñ  se  aa.e  lahū  jo  dāman  tak
to  is  bahār  se  behtar  koī  bahār  na  ho
hayā  kī  baat  hai  ab  tak  qafas  meñ  zinda  huuñ
chaman  meñ  jā.ūñ  to  nargis  se  aañkh  chaar  na  ho
bahār  aa.ī  hai  ghuT  ghuT  ke  jaan  de  bulbul
qafas  meñ  nik.hat-e-gul  kī  umīd-vār  na  ho
ishāra-e-gul-o-bulbul  pe  chashmak-e-nargis
ilāhī  raaz  kisī  kā  bhī  āshkār  na  ho
bichhā  hai  dām-e-tamannā  asiir  ho  bulbul
qafas  kī  yaad  meñ  is  tarah  be-qarār  na  ho
asīr-e-dām  na  honā  zarā  sambhal  ai  dil
ḳhayāl-e-gesū-e-pur-ḳham  gale  kā  baar  na  ho
jo  dekh  le  mujhe  saaqī  nashīlī  āñkhoñ  se
ye  mast  phir  kabhī  sharminda-e-ḳhumār  na  ho
abas  hai  zikr-e-sharāb-e-tahūr  aur  vaa.iz
vo  baat  kar  jo  kisī  dil  ko  nāgavār  na  ho
visāl  jab  nahīñ  mumkin  to  dil  pe  jabr  achchhā
vo  kyā  kare  jise  dil  hī  par  iḳhtiyār  na  ho
vo  tiir  kyā  jo  kisī  ko  na  kar  sake  bismil
nigāh-e-nāz  vo  kyā  hai  jo  dil  ke  paar  na  ho
mizāj-e-yār  mukaddar  na  hone  paa.e  'yās'
buland  dāman-e-zīñ  kahīñ  se  ġhubār  na  ho