Yagana Changezi

wan naqab uTThi ki subh-e-hashr ka manzar khula

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
vaañ naqāb uTThī ki sub.h-e-hashr kā manzar khulā
yā kisī ke husn-e-ālam-tāb kā daftar khulā
ġhaib se pichhle pahar aatī hai kānoñ meñ sadā
uTTho uTTho rahmat-e-rabb-e-ulā kā dar khulā
aañkh jhapkī thī tasavvur bañdh chukā thā yaar kā
chauñkte hī hasrat-e-dīdār kā daftar khulā
kū-e-jānāñ kā samāñ āñkhoñ ke aage phir gayā
sub.h-e-jannat kā jo apne sāmne manzar khulā
rañg badlā phir havā kā mai-kashoñ ke din phire
phir chalī bād-e-sabā phir mai-kade kā dar khulā
aa rahī hai saaf bū-e-sumbul-e-bāġh-e-jināñ
gesū-e-mahbūb shāyad merī mayyat par khulā
chār-dīvār-e-anāsir phāñd kar pahuñche kahāñ
aaj apnā zor-e-vahshat arsh-e-āzam par khulā
chup lagī mujh ko gunāh-e-ishq sābit ho gayā
rañg chehre kā uḌā rāz-e-dil-e-muztar khulā
ashk-e-ḳhūñ se zard chehre par hai kyā turfa bahār
dekhiye rañg-e-junūñ kaisā mire muñh par khulā
ḳhanjar-e-qātil se jannat kī havā aane lagī
aur bahār-e-zaḳhm se firdaus kā manzar khulā
nīm-jāñ chhoḌā tirī talvār ne achchhā kiyā
eḌiyāñ bismil ne ragḌīñ sabr kā jauhar khulā
sohbat-e-vā.iz meñ bhī añgḌā.iyāñ aane lagīñ
raaz apnī mai-kashī kā kyā kaheñ kyūñkar khulā
haath uljhā hai garebāñ meñ to ghabrāo na 'yās'
beḌiyāñ kyūñkar kaTīñ zindāñ kā dar kyūñkar khulā
Top Urdushayar.com