vaañ  naqāb  uTThī  ki  sub.h-e-hashr  kā  manzar  khulā
yā  kisī  ke  husn-e-ālam-tāb  kā  daftar  khulā
ġhaib  se  pichhle  pahar  aatī  hai  kānoñ  meñ  sadā
uTTho  uTTho  rahmat-e-rabb-e-ulā  kā  dar  khulā
aañkh  jhapkī  thī  tasavvur  bañdh  chukā  thā  yaar  kā
chauñkte  hī  hasrat-e-dīdār  kā  daftar  khulā
kū-e-jānāñ  kā  samāñ  āñkhoñ  ke  aage  phir  gayā
sub.h-e-jannat  kā  jo  apne  sāmne  manzar  khulā
rañg  badlā  phir  havā  kā  mai-kashoñ  ke  din  phire
phir  chalī  bād-e-sabā  phir  mai-kade  kā  dar  khulā
aa  rahī  hai  saaf  bū-e-sumbul-e-bāġh-e-jināñ
gesū-e-mahbūb  shāyad  merī  mayyat  par  khulā
chār-dīvār-e-anāsir  phāñd  kar  pahuñche  kahāñ
aaj  apnā  zor-e-vahshat  arsh-e-āzam  par  khulā
chup  lagī  mujh  ko  gunāh-e-ishq  sābit  ho  gayā
rañg  chehre  kā  uḌā  rāz-e-dil-e-muztar  khulā
ashk-e-ḳhūñ  se  zard  chehre  par  hai  kyā  turfa  bahār
dekhiye  rañg-e-junūñ  kaisā  mire  muñh  par  khulā
ḳhanjar-e-qātil  se  jannat  kī  havā  aane  lagī
aur  bahār-e-zaḳhm  se  firdaus  kā  manzar  khulā
nīm-jāñ  chhoḌā  tirī  talvār  ne  achchhā  kiyā
eḌiyāñ  bismil  ne  ragḌīñ  sabr  kā  jauhar  khulā
sohbat-e-vā.iz  meñ  bhī  añgḌā.iyāñ  aane  lagīñ
raaz  apnī  mai-kashī  kā  kyā  kaheñ  kyūñkar  khulā
haath  uljhā  hai  garebāñ  meñ  to  ghabrāo  na  'yās'
beḌiyāñ  kyūñkar  kaTīñ  zindāñ  kā  dar  kyūñkar  khulā