Yagana Changezi

gar yaad mein saqi ki saghar nazar aa jae

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956

gar yaad meñ saaqī sāġhar nazar aa jaa.e

paimāna-e-dil chhalke muñh ko jigar aa jaa.e

aks-e-ruḳh saaqī ko gar dekh luuñ sāġhar meñ

kuchh dil ke bahalne sūrat nazar aa jaa.e

tayyār raho har-dam marne pe kamar bāñdhe

dar-pesh-e-ḳhudā jaane kab ye safar aa jaa.e

haañ sair kar ġhāfil us gor-e-ġharībāñ

anjām tujhe apnā shāyad nazar aa jaa.e

phir jaa.eñ hamesha ko duniyā se mirī āñkheñ

marte dam agar jalva terā nazar aa jaa.e

shor-e-nafas-e-bulbul se hosh uḌeñ sab ke

gar zamzama-sanjī par ye musht-e-par aa jaa.e

bīmār-e-mohabbat ab hai ye duā har-dam

phir shaam na ho jis aisī sahar aa jaa.e

behtar hai ḳham-o-sāġhar āñkhoñ se raheñ ojhal

aisā na ho shīshe par dil TuuT kar aa jaa.e

'yās' aap be-jurmī aaḌe nahīñ aa saktī

gar baat par apnī vo bedād-gar aa jaa.e

Top Urdushayar.com