charāġh-e-zīst  bujhā  dil  se  ik  dhuāñ  niklā
lagā  ke  aag  mire  ghar  se  mehmāñ  niklā
dil  apnā  ḳhaak  thā  phir  ḳhaak  ko  jalānā  kyā
na  koī  sho.ala  uThā  aur  na  kuchh  dhuāñ  niklā
suneñge  chheḌ  ke  afsāna-e-dil-e-marhūm
idhar  se  mulk-e-adam  kā  jo  kārvāñ  niklā
taḌap  ke  ābla-pā  uTh  khaḌe  hue  āḳhir
talāsh-e-yār  meñ  jab  koī  kārvāñ  niklā
lahū  lagā  ke  shahīdoñ  meñ  ho  ga.e  dāḳhil
havas  to  niklī  magar  hausla  kahāñ  niklā
harīm-e-nāz  meñ  shāyad  kisī  ko  daḳhl  nahīñ
dil  aziiz  bhī  nā-ḳhvāñda  mehmāñ  niklā
nihāñ  thā  ḳhāna-e-dil  meñ  hī  shāhid-e-maqsūd
jo  be-nishāñ  thā  vo  dīvār-e-darmiyāñ  niklā
hai  fann-e-ishq  kā  ustād  bas  dil-e-vahshī
marīz-e-ġham  kā  yahī  ik  mizāj-dāñ  niklā
lagā  hai  dil  ko  ab  anjām-kār  kā  khaTkā
bahār-e-gul  se  bhī  ik  pahlū-e-ḳhizāñ  niklā
zamāna  phir  gayā  chalne  lagī  havā  ulTī
chaman  ko  aag  lagā  kar  jo  bāġhbāñ  niklā
hamāre  sabr  kī  khāte  haiñ  ab  qasam  aġhyār
jafā-kashī  kā  maza  ba.ad-e-imtihāñ  niklā
ḳhushī  se  ho  ga.e  bad-ḳhvāh  mere  shādī-e-marg
kafan  pahan  ke  jo  maiñ  ghar  se  nā-gahāñ  niklā
ajal  se  baḌh  ke  muhāfiz  nahīñ  koī  apnā
ḳhudā  kī  shaan  ki  dushman  nigāh-bāñ  niklā
dikhāyā  gor-e-sikandar  ne  baḌh  ke  ā.īna
jo  sar  uThā  ke  koī  zer-e-āsmāñ  niklā
lahad  se  baḌh  ke  nahīñ  koī  gosha-e-rāhat
qayāmat  aa.ī  jo  is  ghar  se  mehmāñ  niklā
ab  apnī  ruuh  hai  aur  sair-e-ālam-e-bālā
kueñ  se  yūsuf-e-gum-karda-kārvāñ  niklā
kalām-e-'yās'  se  duniyā  meñ  phir  ik  aag  lagī
ye  kaun  hazrat-e-'ātish'  kā  ham-zabāñ  niklā