Thokareñ  khilvā.īñ  kyā-kyā  pā-e-be-zanjīr  ne
gardish-e-taqdīr  ne  jaulāni-e-tadbīr  ne
ālam-e-asbāb  se  kyā  faiz-e-nākāmī  milā
raah  par  lā  kar  mujhe  bhaTkā  diyā  taqdīr  ne
kārvāñ  kitne  bagūle  ban  ke  ġhā.eb  ho  ga.e
ḳhaak  se  yaksāñ  kiyā  jaulāñ-e-gah-e-tadbīr  ne
baaz  aa.e  zindagī  ke  ḳhvāb-e-rañgā-rañg  se
dast  o  pā  gum  kar  diye  andesha-e-tābīr  ne
dād-ḳhvāhī  ko  uThā  hai  zarra-e-pāmāl  tak
sote  fitnoñ  ko  jagāyā  hashr-e-ālam-gīr  ne
mātam-e-hasrat  kiyā  pahle  garebāñ  phaaḌ  kar
phir  duā  dī  dushmanoñ  ko  dast-e-be-shamshīr  ne
jaan  de  kar  ek  hukm-e-āḳhirī  maanā  to  kyā
likh  diyā  jab  sarkashoñ  meñ  kātib-e-taqdīr  ne
vaah  kyā  kahnā  mujassam  kar  diyā  mauhūm  ko
naqsh-bandān-e-azal  kī  shoḳhi-e-tahrīr  ne
jam  ga.ī  gard-e-fanā  aisī  ki  chhuTne  kī  nahīñ
kis  ġhazab  kā  rañg  pakḌā  'yās'  kī  tasvīr  ne