bargashta  aur  vo  but-e-be-pīr  ho  na  jaa.e
ulTī  kahīñ  duāoñ  kī  tāsīr  ho  na  jaa.e
dil  jal  ke  ḳhaak  ho  to  phir  iksīr  ho  na  jaa.e
jāñ-soz  hoñ  jo  naale  to  tāsīr  ho  na  jaa.e
kis  sādgī  se  mujrmoñ  ne  sar  jhukā  liyā
mahjūb  kyuuñ  vo  mālik-e-taqdīr  ho  na  jaa.e
dast-e-duā  tak  uTh  na  sake  fart-e-sharm  se
yārab  kisī  se  aisī  bhī  taqsīr  ho  na  jaa.e
mastoñ  kī  Thokar  aur  mirā  sar  hai  sāqiyā
dushman  kisī  kā  yuuñ  falak-e-pīr  ho  na  jaa.e
uThne  hī  ko  hai  beach  se  parda  hijāb  kā
mahfil  tamām  ālam-e-tasvīr  ho  na  jaa.e
ġhaflat  na  kījiyo  kabhī  qātil  kī  yaad  meñ
ai  dil  koī  kamī  tah-e-shamshīr  ho  na  jaa.e
baiThā  hai  lau  lagā.e  koī  teġh-e-nāz  se
qātil  kisī  ke  kaam  meñ  tāḳhīr  ho  na  jaa.e
jaldī  subū  ko  toḌ  ke  sāġhar  banā  le  ab
saaqī  is  amr-e-ḳhair  meñ  tāḳhīr  ho  na  jaa.e
nāloñ  ne  zor  bāñdhā  hai  phir  pichhlī  raat  se
ai  charḳh  chalte  chalte  koī  tiir  ho  na  jaa.e
dil  se  bahut  shikāyateñ  karte  ho  yaar  kī
dekho  qalam  se  kuchh  kabhī  tahrīr  ho  na  jaa.e
sair-e-chaman  se  dil  na  lagāo  chale  chalo
fasl-e-bahār  paañv  kī  zanjīr  ho  na  jaa.e
anjām-kār  par  nahīñ  kuchh  iḳhtiyār  'yās'
taqdīr  se  ḳhajil  mirī  tadbīr  ho  na  jaa.e