kaam  dīvānoñ  ko  shahroñ  se  na  bāzāroñ  se
mast  haiñ  ālam-e-ījād  ke  nazzāroñ  se
zulfeñ  bal  khātī  haiñ  yā  jhūmtī  hai  kaalī  ghaTā
bārish-e-nūr  hai  har  sū  tire  ruḳhsāroñ  se
vaañ  naqāb  uTThī  yahāñ  chāñdnī  ne  khet  kiyā
kaT  ga.ī  zulmat-e-shab  chāñd  se  ruḳhsāroñ  se
dekhtā  rah  gayā  ā.īna  kisī  kī  sūrat
zulfeñ  aTkheliyāñ  kartī  rahīñ  ruḳhsāroñ  se
dekheñ  kis  tarah  basar  hote  haiñ  ayyām-e-junūñ
yaañ  to  hai  sāmnā  har  dam  inhīñ  ġham-ḳhvāroñ  se
haath  uljhā  hai  garebāñ  meñ  khaḌe  dekhte  haiñ
aur  ummīd  koī  kyā  kare  ġham-ḳhvāroñ  se
kashish-e-dasht-e-balā  hubb-e-vatan  dāman-gīr
aaj  ghar  chhuTtā  hai  pahle-pahal  āvāroñ  se
marte  dam  tak  tirī  talvār  kā  dam  bharte  rahe
haq  adā  ho  na  sakā  phir  bhī  vafādāroñ  se
be-dhaḌak  pichhle  pahar  nāla-o-shevan  na  kareñ
kah  de  itnā  to  koī  tāza-giraftāroñ  se
mausam-e-gul  nahīñ  paiġhām-e-ajal  thā  sayyād
dekh  ḳhālī  hai  qafas  aaj  giraftāroñ  se
kyā  burā  haal  hai  añgḌā.iyāñ  lete  lete
sāqiyā  naaz  ab  achchhā  nahīñ  mai-ḳhvāroñ  se
kāñpte  hāthoñ  se  sāġhar  ko  bachāyā  to  bahut
kyā  kaheñ  ḳhud  hī  na  sambhlā  gayā  mai-ḳhvāroñ  se
sar  ko  Takrā  ke  gayā  hai  koī  sahrā  kī  taraf
ḳhuun  sābit  hai  abhī  shahr  kī  dīvāroñ  se
eḌiyāñ  vādi-e-ġhurbat  meñ  ragaḌte  hī  rahe
duur  khiñchtī  ga.ī  manzil  vatan-āvāroñ  se
kaan  meñ  pichhle  pahar  aa.ī  ik  āvāz-e-hazīñ
ab  to  ġham-ḳhvār  bhī  diq  haiñ  tire  bīmāroñ  se
jhilmilāne  lagā  jab  'yās'  charāġh-e-saharī
phir  to  Thahrā  na  gayā  hijr  ke  bīmāroñ  se