raushan tamām kaaba o but-ḳhāna ho gayā
ghar-ghar jamāl-e-yār kā afsāna ho gayā
sūrat-parast kab hue ma.anī se āshnā
aalam fareb-e-tūr kā afsāna ho gayā
chashm-e-havas hai shefta-e-husn-e-zāhirī
dil āshnā-e-ma.ani-e-begāna ho gayā
āsāñ nahīñ hai aag meñ dānista kūdnā
dīvāna shauq-e-vasl meñ parvāna ho gayā
kaifiyat-e-hayāt thī dam bhar kī mehmāñ
labrez piite hī mirā paimāna ho gayā
ashkoñ se jaam bhar ga.e saaqī kī yaad meñ
kuchh to ma.āl-e-majlis-e-rindāna ho gayā
dair o haram bhī Dhah ga.e jab dil nahīñ rahā
sab dekhte hī dekhte vīrāna ho gayā
kal kī hai baat josh pe thā ālam-e-shabāb
yādash-ba-ḳhair aaj ik afsāna ho gayā
ā.īna dekhtā hai garebāñ ko phaaḌ kar
vahshī ab apnā aap hī dīvāna ho gayā
kyā jaane aaj ḳhvāb meñ kyā dekhā 'yās' ne
kyuuñ chauñkte hī aap se begāna ho gayā