kis  dil  se  tark-e-lazzat-e-duniyā  kare  koī
vo  ḳhvāb-e-dil-fareb  ki  dekhā  kare  koī
kyā  sahl  hai  ki  tark-e-tamāshā  kare  koī
dil  se  na  ho  to  aañkh  se  tauba  kare  koī
ġhunche  ke  dil  meñ  kuchh  na  thā  ik  aah  ke  sivā
phir  kyā  shaguftagī  kī  tamannā  kare  koī
āñkheñ  hoñ  jis  ke  āñkhoñ  hī  āñkhoñ  meñ  taaḌ  le
dard  apnā  vo  nahīñ  ki  TaTolā  kare  koī
dil  muztarib  nigāh  giraftār-e-shash-jahat
farmā.iye  kidhar  kā  irāda  kare  koī
yādash  ba-ḳhair  yād-e-ḳhudā  aa  hī  jaatī  hai
apnī  taraf  se  laakh  bhulāyā  kare  koī
is  kī  nigāh-e-shauq  ke  qurbān  jā.iye
tujh  aise  be-nishāñ  ko  jo  paidā  kare  koī
taa.at  ho  yā  gunāh  pas-e-parda  ḳhuub  hai
donoñ  kā  jab  maza  hai  ki  tanhā  kare  koī
bande  na  hoñge  jitne  ḳhudā  haiñ  ḳhudā.ī  meñ
kis  kis  ḳhudā  ke  sāmne  sajda  kare  koī
husn-e-'yagānā'  aap  hī  apnā  hijāb  hai
husn-e-hijāb  duur  se  dekhā  kare  koī