lipaTtī  hai  bahut  yād-e-vatan  jab  dāman-e-dil  se
palaT  kar  ik  salām-e-shauq  kar  letā  huuñ  manzil  se
nazar  aa.e  jab  āsār-e-judā.ī  rañg-e-mahfil  se
nigāh-e-'yās'  begāna  huī  yārān-e-yak-dil  se
ubharne  ke  nahīñ  bahr-e-fanā  meñ  Dūbne  vaale
dur-e-maqsūd  hī  ġham  hai  to  phir  kyā  kaam  sāhil  se
tasavvur  lāla-o-gul  kā  ḳhizāñ  meñ  bhī  nahīñ  miTtā
nigāh-e-shauq  vābasta  hai  ab  tak  naqsh-e-bātil  se
nahīñ  ma.alūm  kyā  lazzat  uThā.ī  hai  asīrī  meñ
dil-e-vahshī  phaḌak  uThtā  hai  āvāz-e-salāsil  se
kisī  shai  meñ  na  hogī  bāda-e-irfāñ  kī  gunjā.ish
laḌā  le  sāġhar-e-jam  ko  bhī  koī  shīsha-e-dil  se
tasavvur  ne  dikhāyā  shāhid-e-maqsūd  kā  jalva
utar  aa.ī  hai  lailā  sar-zamīn-e-dil  pe  mahmil  se
rahegī  chaar  dīvār-e-anāsir  darmiyāñ  kab  tak
uThegā  zalzala  ik  din  isī  baiThe  hue  dil  se
kahāñ  tak  parda-e-fānūs  se  sar  kī  balā  Taltī
azal  se  laag  thī  bād-e-fanā  ko  sham-e-mahfil  se
yahīñ  se  sair  kar  lo  'yās'  itnī  duur  kyuuñ  jaao
adam  ābād  kar  DāñDā  milā  hai  kū-e-qātil  se