Yagana Changezi

agar apni chashm-e-nam par mujhe iKHtiyar hota

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956

agar apnī chashm-e-nam par mujhe iḳhtiyār hotā

to bhalā ye rāz-e-ulfat kabhī āshkār hotā

hai tunuk-mizāj sayyād kuchh apnā bas nahīñ hai

maiñ qafas ko le ke uḌtā agar iḳhtiyār hotā

ye zarā ik jhalak ne dil o jaañ ko yuuñ jalāyā

tirī barq-e-husn se phir koī kyā do-chār hotā

ajī tauba is garebāñ bhalā bisāt kyā thī

ye kaho ki haath uljhā nahīñ tār-tār hotā

vo na aate fātiha ko zarā muḌ ke dekh lete

to hujūm-e-'yās' itnā na sar-e-mazār hotā

Top Urdushayar.com