Yagana Changezi

aah-e-bimar kargar na hui

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
āh-e-bīmār kārgar na huī
charḳh kāñpā magar sahar na huī
sub.h-e-mahshar huī shab-e-tārīk
sūrat-e-yār jalva-gar na huī
shab-e-ummīd kaT ga.ī lekin
zindagī apnī muḳhtasar na huī
duur se aaj un ko dekh liyā
dil ko taskīñ huī magar na huī
āñkhoñ āñkhoñ meñ le liyā va.ada
kānoñ-kān ek ko ḳhabar na huī
uf rī chashm-e-itāb uf re jalāl
barq-e-sozāñ huī nazar na huī
fikr-e-anjām-o-hasrat-e-āġhāz
do-ghaḌī chain se basar na huī
khulne vaalā nahīñ dar-e-tauba
fikr-e-anjām vaqt par na huī
aisā ronā bhī koī ronā hai
āstīn āñsuoñ se tar na huī
haT ke bālīñ se log rote haiñ
jaise bīmār ko ḳhabar na huī
luT gayā saarā kārvāñ adam
ek ko ek kī ḳhabar na huī
nīm-jāñ chhoḌ kar chalā qātil
nigah-e-'yās' kārgar na huī
Top Urdushayar.com