āh-e-bīmār  kārgar  na  huī
charḳh  kāñpā  magar  sahar  na  huī
sub.h-e-mahshar  huī  shab-e-tārīk
sūrat-e-yār  jalva-gar  na  huī
shab-e-ummīd  kaT  ga.ī  lekin
zindagī  apnī  muḳhtasar  na  huī
duur  se  aaj  un  ko  dekh  liyā
dil  ko  taskīñ  huī  magar  na  huī
āñkhoñ  āñkhoñ  meñ  le  liyā  va.ada
kānoñ-kān  ek  ko  ḳhabar  na  huī
uf  rī  chashm-e-itāb  uf  re  jalāl
barq-e-sozāñ  huī  nazar  na  huī
fikr-e-anjām-o-hasrat-e-āġhāz
do-ghaḌī  chain  se  basar  na  huī
khulne  vaalā  nahīñ  dar-e-tauba
fikr-e-anjām  vaqt  par  na  huī
aisā  ronā  bhī  koī  ronā  hai
āstīn  āñsuoñ  se  tar  na  huī
haT  ke  bālīñ  se  log  rote  haiñ
jaise  bīmār  ko  ḳhabar  na  huī
luT  gayā  saarā  kārvāñ  adam
ek  ko  ek  kī  ḳhabar  na  huī
nīm-jāñ  chhoḌ  kar  chalā  qātil
nigah-e-'yās'  kārgar  na  huī