mahrūm-e-shahādat  kī  hai  kuchh  tujh  ko  ḳhabar  bhī
o  dushman-e-jāñ  dekh  zarā  phir  ke  idhar  bhī
hai  jaan  ke  saath  aur  ik  īmān  kā  Dar  bhī
vo  shoḳh  kahīñ  dekh  na  le  muḌ  ke  idhar  bhī
vo  ham  se  nahīñ  milte  ham  un  se  nahīñ  milte
ik  nāz-e-dil-āvez  idhar  bhī  hai  udhar  bhī
ThanDā  ho  kalejā  mirā  is  āh-e-sahar  se
jab  dil  kī  tarah  jalne  lage  ġhair  kā  ghar  bhī
allāh-rī  be-tābī-e-dil  vasl  kī  shab  ko
kuchh  kashmakash-e-shauq  bhī  kuchh  sub.h  kā  Dar  bhī
añgḌā.iyāñ  le  le  ke  uThe  sāhab-e-mahfil
kuchh  niiñd  bhī  āñkhoñ  meñ  hai  kuchh  mai  kā  asar  bhī
ham  māñgte  hī  kyuuñ  jo  yahī  jānte  saaqī
phir  jā.egī  qismat  kī  tarah  terī  nazar  bhī
ham  haath  se  dil  thāme  hue  duur  khaḌe  haiñ
dekheñ  to  koī  letā  hai  kuchh  is  kā  asar  bhī
ai  jazba-e-dil  dekh  bahut  tū  ne  kamī  kī
haañ  aahoñ  meñ  ab  chāhiye  thoḌā  sā  asar  bhī
ab  chup  raho  jo  dil  pe  guzarnī  thī  vo  guzrī
aisā  na  ho  phaT  jaa.e  kahīñ  zaḳhm-e-jigar  bhī
mahrūm-e-shahādat  tujhe  kuchh  sharm  na  aa.ī
kam-baḳht  galā  kaaT  ke  jaldī  kahīñ  mar  bhī
bhārī  hai  musāfir  pe  bahut  gor  kī  manzil
sunte  haiñ  ki  is  raah  meñ  hai  jaan  kā  Dar  bhī
vo  kashmakash-e-ġham  hai  ki  maiñ  kah  nahīñ  saktā
āġhāz  kā  afsos  aur  anjām  kā  Dar  bhī
khol  āñkheñ  zarā  mast  hai  kyā  sāġhar  jam  se
hai  gardish-e-ayyām  kī  kuchh  tujh  ko  ḳhabar  bhī
lailī-e-shab-e-hijr  ne  bikhrā  diye  gesū
mātam  meñ  mire  chāk-e-garebāñ  hai  sahar  bhī
kis  shaan  se  aatī  hai  mirī  shām-e-musībat
vo  dekho  jilau  meñ  hai  qayāmat  kī  sahar  bhī
bujhtī  huī  ik  sham.a  huuñ  kyā  dam  kā  bharosā
dushman  hai  mirī  jaan  kī  ab  āh-e-sahar  bhī
dekhe  koī  jaatī  huī  duniyā  kā  tamāshā
bīmār  bhī  sar  dhuntā  hai  aur  sham-e-sahar  bhī
sahrā  kī  havā  khīñche  liye  jaatī  hai  mujh  ko
kahtā  hai  vatan  dekh  zarā  phir  ke  idhar  bhī
haañ  kaT  ga.ī  shāyad  tire  dīvāne  kī  beḌī
pichhle-pahar  aa.ī  thī  kuchh  āvāz  idhar  bhī
kyā  va.ada-e-dīdār  ko  sach  jānte  ho  'yās'
lo  farz  karo  aa.ī  qayāmat  kī  sahar  bhī
allāh  mubārak  kare  piirī  kī  sahar  'yās'
marne  kī  tamannā  thī  to  le  ab  kahīñ  mar  bhī