Rifat Sarosh

ghar ko ab dasht-e-karbala likkhun

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926

ghar ko ab dasht-e-karbalā likkhūñ

aaj ḳhud apnā marsiya likkhūñ

saada kāġhaz pe ḳhuun ke aañsū

ab use ḳhat meñ aur kyā likkhūñ

barg-e-gul par sabā ke dāman par

naam terā jā-ba-jā likkhūñ

zikr aa.e jo terī manzil

chāñd-sūraj ko naqsh-e-pā likkhūñ

ho tirā jamāl pesh-e-nazar

jab qalam se ḳhudā ḳhudā likkhūñ

maiñ to zinda huuñ mar chukā hai vo

apne qātil marsiya likhūñ

ai 'sarosh' apnī zindagī ko maiñ

kaun se jurm sazā likkhūñ

Top Urdushayar.com