Rifat Sarosh

shahr-e-shor-o-shar tanha ghar ke baam-o-dar tanha

Rifat Sarosh

Bijnor, Uttar pradesh, India

1926

shahr-e-shor-o-shar tanhā ghar ke bām-o-dar tanhā

tum nahīñ to lagtā hai ālam-e-bashar tanhā

dard āshnā taa.ir chheḌ naġhma-e-hasrat

kyuuñ ḳhamosh baiThā hai ġham shāḳh par tanhā

jab ḳhushī mausam thā ham-safar thā ik aalam

kāTnī hai ab lekin ġham rahguzar tanhā

har taraf tirī yādeñ muskurātī rahtī haiñ

kis ne kah diyā tujh se ab hai merā ghar tanhā

tum ne ba.ad muddat ke dil haal pūchhā hai

karvaTeñ badaltā hai ġham sej par tanhā

shahr ke galī kūche pūchhte haiñ rah rah kar

ai 'sarosh' phirte ho kyuuñ idhar-udhar tanhā

ai 'sarosh' mat pūchho merī kyā haqīqat hai

zindagī ke sahrā meñ dard shajar tanhā

Top Urdushayar.com